Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

na mila tera pata to mujhe log kya kahenge

Betab Lakhnavi

na mila tera pata to mujhe log kya kahenge

Betab Lakhnavi

MORE BYBetab Lakhnavi

    na milā tirā pata to mujhe log kyā kaheñge

    yūñhī dar-ba-dar rahā to mujhe log kyā kaheñge

    tujhe zindagī kahā hai hai zindagī hāsil

    tujhe bevafā kahā to mujhe log kyā kaheñge

    mire dil meñ zabt-e-ġham jo charāġh jal rahā hai

    vo charāġh bujh gayā to mujhe log kyā kaheñge

    ye jahāñ na jaane kyā kyā mujhe kah rahā hai lekin

    kabhī tum ne kuchh kahā to mujhe log kyā kaheñge

    maiñ chalā to huuñ sunāne use dāstāñ vafā

    koī hādisa huā to mujhe log kyā kaheñge

    na mila tera pata to mujhe log kya kahenge

    yunhi dar-ba-dar raha to mujhe log kya kahenge

    tujhe zindagi kaha hai tu hai zindagi ka hasil

    tujhe bewafa kaha to mujhe log kya kahenge

    mere dil mein zabt-e-gham ka jo charagh jal raha hai

    wo charagh bujh gaya to mujhe log kya kahenge

    ye jahan na jaane kya kya mujhe kah raha hai lekin

    kabhi tum ne kuchh kaha to mujhe log kya kahenge

    main chala to hun sunane use dastan wafa ki

    koi hadisa hua to mujhe log kya kahenge

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Rafiq Shaikh

    Rafiq Shaikh

    Anup Jalota

    Anup Jalota

    Source :
    • Book : Anoop Jalota ki Ghazalen (Pg. 51)
    • Author : Anoop Jalota
    • Publication : Daimond Pocket Books, Daryaganj
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now