na mili sukun ki zindagi meri aas DhunDh ke thak gai
na milī sukūn kī zindagī mirī aas DhūñDh ke thak ga.ī
jise dil meñ le ke chalā thā maiñ vo talāsh raah bhaTak ga.ī
tujhe kyā batā.ūñ milā hai kyā tire saath se mire ham-safar
tirī chāhatoñ kā karam hai jo mirī zindagī bhī mahak ga.ī
tirī ruḳhsatī kā samay kabhī mere zehn se na nikal sakā
tū rukā nahīñ tujhe rokne mirī aah duur talak ga.ī
vo jo ġhair haiñ vo to ġhair haiñ koī un se shikva gila ho kyā
mirī zindagī kī ḳhushī agar mire apnoñ ko hī khaTak ga.ī
na mili sukun ki zindagi meri aas DhunDh ke thak gai
jise dil mein le ke chala tha main wo talash rah bhaTak gai
tujhe kya bataun mila hai kya tere sath se mere ham-safar
teri chahaton ka karam hai jo meri zindagi bhi mahak gai
teri ruKHsati ka samay kabhi mere zehn se na nikal saka
tu ruka nahin tujhe rokne meri aah dur talak gai
wo jo ghair hain wo to ghair hain koi un se shikwa gila ho kya
meri zindagi ki KHushi agar mere apnon ko hi khaTak gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.