na mohabbat na mohabbat ki ada hai yaro
na mohabbat na mohabbat kī adā hai yaaro
na malāmat na shikāyat na jafā hai yaaro
ġham kī talḳhī hai magar kitnā maza hai yaaro
ālam-e-shauq kā aalam hī judā hai yaaro
raunaq-e-bazm bhī afsurda chalī saath hī saath
kaun bā-dīda-e-nam uTh ke chalā hai yaaro
koī marham na mudāvā na kahīñ sidq-o-safā
ye bhī ik mere zamāne kī adā hai yaaro
mere hālāt samajh leñge samajhne vaale
ye ḳhamoshī bhī takallum kī adā hai yaaro
niyyateñ badlī haiñ rahbar ne tasāhul bartā
qāfila jab bhī zarā ban ke chalā hai yaaro
dil meñ zaḳhmoñ kī dukhan hoñToñ pe aahoñ kā dhuāñ
zindagī bhar kī vafāoñ kā sila hai yaaro
jitne ehsān haiñ mujh par nahīñ bhūlūñgā kabhī
choT jab khaa.ī tumheñ yaad kiyā hai yaaro
mirī āvāz nahīñ sāz-e-shikasta kī sadā
koī samjhe to yahī bāñg-e-darā hai yaaro
maslahat vaqt kī māyūs hī lauTī ham se
jo bhī kahnā thā sar-e-dār kahā hai yaaro
ab na armān na hasrat na alam hai na ḳhushī
ham se duniyā ne hameñ chhīn liyā hai yaaro
mash.al-e-naqd-o-nazar le ke parakh lo sab ko
kaun aġhrāz kī chaukhaT pe jhukā hai yaaro
maiñ ne nafrat ke sharāroñ kī lapaT paa.ī hai
milne vaalā jo koī hañs ke milā hai yaaro
ik vafā-kesh mohabbat kā parastār 'qamar'
ġham ke sahrāoñ meñ ḳhāmosh khaḌā hai yaaro
na mohabbat na mohabbat ki ada hai yaro
na malamat na shikayat na jafa hai yaro
gham ki talKHi hai magar kitna maza hai yaro
aalam-e-shauq ka aalam hi juda hai yaro
raunaq-e-bazm bhi afsurda chali sath hi sath
kaun ba-dida-e-nam uTh ke chala hai yaro
koi marham na mudawa na kahin sidq-o-safa
ye bhi ek mere zamane ki ada hai yaro
mere haalat samajh lenge samajhne wale
ye KHamoshi bhi takallum ki ada hai yaro
niyyaten badli hain rahbar ne tasahul barta
qafila jab bhi zara ban ke chala hai yaro
dil mein zaKHmon ki dukhan honTon pe aahon ka dhuan
zindagi bhar ki wafaon ka sila hai yaro
jitne ehsan hain mujh par nahin bhulunga kabhi
choT jab khai tumhein yaad kiya hai yaro
meri aawaz nahin saz-e-shikasta ki sada
koi samjhe to yahi bang-e-dara hai yaro
maslahat waqt ki mayus hi lauTi hum se
jo bhi kahna tha sar-e-dar kaha hai yaro
ab na arman na hasrat na alam hai na KHushi
hum se duniya ne hamein chhin liya hai yaro
mashal-e-naqd-o-nazar le ke parakh lo sab ko
kaun aghraaz ki chaukhaT pe jhuka hai yaro
main ne nafrat ke shararon ki lapaT pai hai
milne wala jo koi hans ke mila hai yaro
ek wafa-kesh mohabbat ka parastar 'qamar'
gham ke sahraon mein KHamosh khaDa hai yaro
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.