na mujhko kabhi gham ata kijiyega
na mujh ko kabhī ġham 'atā kījiyegā
qasam hai ḳhudā kī vafā kījiyegā
ḳhushī hī ḳhushī ho mirī zindagī meñ
salāmat rahūñ maiñ du'ā kījiyegā
kise thī ḳhabar jis chaman meñ ḳhizāñ hai
use aap phir se harā kījiyegā
mohabbat mohabbat are haañ mohabbat
kisī se na mere sivā kījiyegā
taras jā.iyegā mohabbat kī ḳhātir
agar maañ ko dil se judā kījiyegā
faqat maiñ nahīñ aap bhī ro.eñge phir
agar saath mere daġhā kījiyegā
dukhāyā hai dil aap kā sab ne 'mohak'
kisī se na lekin gila kījiyegā
na mujh ko kabhi gham 'ata kijiyega
qasam hai KHuda ki wafa kijiyega
KHushi hi KHushi ho meri zindagi mein
salamat rahun main du'a kijiyega
kise thi KHabar jis chaman mein KHizan hai
use aap phir se hara kijiyega
mohabbat mohabbat are han mohabbat
kisi se na mere siwa kijiyega
taras jaiyega mohabbat ki KHatir
agar man ko dil se juda kijiyega
faqat main nahin aap bhi roenge phir
agar sath mere dagha kijiyega
dukhaya hai dil aap ka sab ne 'mohak'
kisi se na lekin gila kijiyega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.