na munh mein ek niwala ja raha hai
na muñh meñ ik nivāla jā rahā hai
faqat dhoke meñ Daalā jā rahā hai
nikālā jā chukā huuñ dahr se jab
to kyoñ dil se nikālā jā rahā hai
ye kāfir bas tumheñ paane kī ḳhātir
bahāne se shivāla jā rahā hai
terī yādeñ sañjotā huuñ maiñ aise
ki jaise saañp paalā jā rahā hai
safar mushkil samajhiye bas vahāñ tak
jahāñ tak ye ujālā jā rahā hai
na munh mein ek niwala ja raha hai
faqat dhoke mein Dala ja raha hai
nikala ja chuka hun dahr se jab
to kyon dil se nikala ja raha hai
ye kafir bas tumhein pane ki KHatir
bahane se shiwala ja raha hai
teri yaaden sanjota hun main aise
ki jaise sanp pala ja raha hai
safar mushkil samajhiye bas wahan tak
jahan tak ye ujala ja raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.