na nazar ki dida-wari rahi na jigar ki be-jigari rahi
na nazar ki dida-wari rahi na jigar ki be-jigari rahi
Khaleel-ur-Rahman Raaz
MORE BYKhaleel-ur-Rahman Raaz
na nazar kī dīda-varī rahī na jigar kī be-jigarī rahī
magar ahl-e-dā'vā-e-shauq se tirī barham-e-nāz bharī rahī
kabhī jaag uThā kabhī so gayā kabhī khil uThā kabhī kho gayā
dil-e-mast jām-e-jamāl ko na ḳhabar na be-ḳhabarī rahī
ye 'ajab havas kā dayār hai yahāñ 'aam anā kā ḳhumār hai
mujhe apne sahrā se pyaar hai mujhe raas dar-ba-darī rahī
na dil-o-dimāġh ko hai sukūñ na zamāñ makāñ ko qarār hai
maiñ safar meñ huuñ ki hazar meñ huuñ mirī zindagī safarī rahī
kahīñ chāñd jugnū parinda rut kahīñ rang dhuup dhanak nirt
mire daur meñ dil-e-muztarib ye ġhazal kī shīshagarī rahī
yahāñ makr bhī hai jadal bhī hai yahāñ bal ke saath meñ chhal bhī hai
fan-e-tesha-gar ke kamāl se zan-e-hīla-gar hī kharī rahī
ye tabassum-e-sar-e-anjuman vo adāvatoñ ke diloñ meñ phan
na.e daur meñ na.ī nasl kī yahī shān-e-dīda-varī rahī
jo ḳhudā-shanās nahīñ huā kabhī ḳhud-shanās na ho sakā
vo jo munkirīn-e-ḳhudā hue unheñ ḳhud se be-ḳhabarī rahī
mire fan ke zauq-e-latīf ko sanad ahl-e-zauq kī chāhiye
magar aaj tak sar-e-anjuman ye talab dharī kī dharī rahī
jo the tālibān-e-ilāj-e-ġham unheñ gahrī niiñd sulā diyā
na maraz rahā na marīz hī ye ġhazab kī chāragarī rahī
na nazar ki dida-wari rahi na jigar ki be-jigari rahi
magar ahl-e-da'wa-e-shauq se teri barham-e-naz bhari rahi
kabhi jag uTha kabhi so gaya kabhi khil uTha kabhi kho gaya
dil-e-mast jam-e-jamal ko na KHabar na be-KHabari rahi
ye 'ajab hawas ka dayar hai yahan 'am ana ka KHumar hai
mujhe apne sahra se pyar hai mujhe ras dar-ba-dari rahi
na dil-o-dimagh ko hai sukun na zaman makan ko qarar hai
main safar mein hun ki hazar mein hun meri zindagi safari rahi
kahin chand jugnu parinda rut kahin rang dhup dhanak nirt
mere daur mein dil-e-muztarib ye ghazal ki shishagari rahi
yahan makr bhi hai jadal bhi hai yahan bal ke sath mein chhal bhi hai
fan-e-tesha-gar ke kamal se zan-e-hila-gar hi khari rahi
ye tabassum-e-sar-e-anjuman wo adawaton ke dilon mein phan
nae daur mein nai nasl ki yahi shan-e-dida-wari rahi
jo KHuda-shanas nahin hua kabhi KHud-shanas na ho saka
wo jo munkirin-e-KHuda hue unhen KHud se be-KHabari rahi
mere fan ke zauq-e-latif ko sanad ahl-e-zauq ki chahiye
magar aaj tak sar-e-anjuman ye talab dhari ki dhari rahi
jo the taliban-e-ilaj-e-gham unhen gahri nind sula diya
na maraz raha na mariz hi ye ghazab ki chaaragari rahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.