na pas aata hai wo aur na dur jata hai
na paas aatā hai vo aur na duur jaatā hai
'ajab tarah se mirī tishnagī baḌhātā hai
ye kaisī aag hai jis meñ koī tapish na dhuāñ
ye kaisā rabt hai jo fāsle baḌhātā hai
talāsh hai use kho.e hue ujāloñ kī
jo merī raah meñ aksar diye jalātā hai
samajh chukā huuñ maiñ us ke dukhoñ kā har andāz
jo baat baat pe merī hañsī uḌātā hai
maiñ paḌh sakā na kabhī jis ke jism kī tahrīr
hai us kā 'aks jo she'roñ meñ jhilmilātā hai
chhupā sakā na mah-o-sāl kā ġhubār use
vo ek lamha jo har lamha yaad aatā hai
na pas aata hai wo aur na dur jata hai
'ajab tarah se meri tishnagi baDhata hai
ye kaisi aag hai jis mein koi tapish na dhuan
ye kaisa rabt hai jo fasle baDhata hai
talash hai use khoe hue ujalon ki
jo meri rah mein aksar diye jalata hai
samajh chuka hun main us ke dukhon ka har andaz
jo baat baat pe meri hansi uData hai
main paDh saka na kabhi jis ke jism ki tahrir
hai us ka 'aks jo she'ron mein jhilmilata hai
chhupa saka na mah-o-sal ka ghubar use
wo ek lamha jo har lamha yaad aata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.