na pahunch saka zamana mere haal tak na pahunche
na pahuñch sakā zamāna mire haal tak na pahuñche
maiñ vahāñ huuñ jāda-paimā ki ḳhayāl tak na pahuñche
jinheñ tujh ko dekhnā ho vo mirī nazar se dekheñ
ḳhad-o-ḳhāl meñ jo uljhe vo jamāl tak na pahuñche
mirā intizār-e-va.ada tirā e'tibār-e-fardā
shab-o-roz rafta rafta mah-o-sāl tak na pahuñche
jinheñ terī aarzū thī jinheñ terī justujū thī
kisī daam meñ na aa.e kisī jaal tak na pahuñche
mire dil kī dhaḌkanoñ meñ haiñ inhīñ kī āhaTeñ sī
mujhe jin se ye gila thā mire haal tak na pahuñche
mire roz-o-shab kā aalam na samajh sakeñge 'rāhī'
jo zavāl se na guzre jo kamāl tak na pahuñche
na pahunch saka zamana mere haal tak na pahunche
main wahan hun jada-paima ki KHayal tak na pahunche
jinhen tujh ko dekhna ho wo meri nazar se dekhen
KHad-o-KHal mein jo uljhe wo jamal tak na pahunche
mera intizar-e-wada tera e'tibar-e-farda
shab-o-roz rafta rafta mah-o-sal tak na pahunche
jinhen teri aarzu thi jinhen teri justuju thi
kisi dam mein na aae kisi jal tak na pahunche
mere dil ki dhaDkanon mein hain inhin ki aahaTen si
mujhe jin se ye gila tha mere haal tak na pahunche
mere roz-o-shab ka aalam na samajh sakenge 'rahi'
jo zawal se na guzre jo kamal tak na pahunche
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.