na pahunche hath jis ka zoaf se ta-zist daman tak
na pahuñche haath jis kā zo.af se tā-zīst dāman tak
surāġh-e-ḳhūñ ab is kā mar ke jaa.e ḳhaak gardan tak
sar-o-sāmāñ se haiñ ye be-sar-o-sāmāniyāñ apnī
ki hai josh-e-junūñ merā garebāñ-gīr dāman tak
na kī ġhaflat se qadr-e-dil abas ilzām dilbar par
matā-e-ḳhufta ke jaane ke sau raste haiñ rahzan tak
ye hiila bhī nahīñ kam maut ke aane ko gar aa.e
na aa.e jo ki bālīñ par vo kyā jā.egā madfan tak
kuchh aisā iḳhtilāt aapas se uTThā is zamāne meñ
na qātil aa.e hai mujh tak na jaa.e maut dushman tak
mirī mehnat kā zaa.e.a honā hī to ik qayāmat hai
ki bād-o-barq aafat meñ raheñge mere ḳhirman tak
vafā kī nazr hai merī hī jān-e-hasrat-ālūda
asar kī qadr hai merī hī āh-e-qāfila-zan tak
ġhubār-e-dil kisī Dhab se na qātil kā huā sābit
ki saaf us kī havā kī teġh mujh se mere kushtan tak
maiñ apne hausle se aur vo apne jaame se bāhar
na ḳhanjar kā use khaTkā na yaañ sarfa hai gardan tak
nahīñ hotā rafū chāk-e-garebān-e-fanā hargiz
mañgā.īñ charḳh-e-chārum se agar iisā kī sozan tak
girāñ-jānī chaman meñ bhī nishāna ho ga.ī āḳhir
ki bār-e-dosh-e-gulban hai mirī shāḳh-e-nasheman tak
'qalaq' martā hai aur hotā hai mātam kā ye hañgāma
magar ronā hai is kā tū na aayā bazm-e-shevan tak
na pahunche hath jis ka zoaf se ta-zist daman tak
suragh-e-KHun ab is ka mar ke jae KHak gardan tak
sar-o-saman se hain ye be-sar-o-samaniyan apni
ki hai josh-e-junun mera gareban-gir daman tak
na ki ghaflat se qadr-e-dil abas ilzam dilbar par
mata-e-KHufta ke jaane ke sau raste hain rahzan tak
ye hila bhi nahin kam maut ke aane ko gar aae
na aae jo ki baalin par wo kya jaega madfan tak
kuchh aisa iKHtilat aapas se uTTha is zamane mein
na qatil aae hai mujh tak na jae maut dushman tak
meri mehnat ka zaea hona hi to ek qayamat hai
ki baad-o-barq aafat mein rahenge mere KHirman tak
wafa ki nazr hai meri hi jaan-e-hasrat-aluda
asar ki qadr hai meri hi aah-e-qafila-zan tak
ghubar-e-dil kisi Dhab se na qatil ka hua sabit
ki saf us ki hawa ki tegh mujh se mere kushtan tak
main apne hausle se aur wo apne jame se bahar
na KHanjar ka use khaTka na yan sarfa hai gardan tak
nahin hota rafu chaak-e-gareban-e-fana hargiz
mangain charKH-e-chaarum se agar isa ki sozan tak
giran-jaani chaman mein bhi nishana ho gai aaKHir
ki bar-e-dosh-e-gulban hai meri shaKH-e-nasheman tak
'qalaq' marta hai aur hota hai matam ka ye hangama
magar rona hai is ka tu na aaya bazm-e-shewan tak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.