na purkashish hai na aashna hai
na purkashish hai na āshnā hai
magar vo chehra bhalā lagā hai
hare jazīre pe zard bādal
havāoñ ko aaj kyā huā hai
kisī kī āñkhoñ meñ raat Thahrī
kisī kī rātoñ meñ din ghulā hai
tirī udāsī kā ye dabistāñ
kahīñ kahīñ se jalā huā hai
havāo būñdoñ ko rāsta do
zamīñ kā siina chaTaḳh rahā hai
mirī mohabbat kā sabz mausam
tirī kamī meñ Thahar gayā hai
na purkashish hai na aashna hai
magar wo chehra bhala laga hai
hare jazire pe zard baadal
hawaon ko aaj kya hua hai
kisi ki aankhon mein raat Thahri
kisi ki raaton mein din ghula hai
teri udasi ka ye dabistan
kahin kahin se jala hua hai
hawao bundon ko rasta do
zamin ka sina chaTaKH raha hai
meri mohabbat ka sabz mausam
teri kami mein Thahar gaya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.