Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

na puchh ai ham-nafas afsana-e-ranj-o-mehan mera

Abdur Rasheed Khan Kaifi Mahkari

na puchh ai ham-nafas afsana-e-ranj-o-mehan mera

Abdur Rasheed Khan Kaifi Mahkari

MORE BYAbdur Rasheed Khan Kaifi Mahkari

    na pūchh ai ham-nafas afsāna-e-rañj-o-mehan merā

    na hai bas meñ zabāñ merī na qaabū meñ dahan merā

    shamīm-e-zulf ne mahkā diyā dil har ik gosha

    jo bikhrīñ yaar zulfeñ banā pallū ḳhutan merā

    satā le jitnā chāhe magar itnā samajh rakhnā

    rasā hogā kabhī to naala ai charḳh-e-kuhan merā

    na dāman salāmat hai na jeb-o-āstīñ baaqī

    huā hai nazr-e-ḳhār-e-dasht saarā pairahan merā

    hare phir kar diye zaḳhm-e-jigar abr-e-bahārāñ ne

    huā shādāb do chhīñToñ meñ ye ujḌā chaman merā

    vo kahte haiñ kaho jo kuchh tumheñ kahnā ho ai 'kaifī'

    magar tāqat kahāñ se laa.e kahne dahan merā

    na puchh ai ham-nafas afsana-e-ranj-o-mehan mera

    na hai bas mein zaban meri na qabu mein dahan mera

    shamim-e-zulf ne mahka diya dil ka har ek gosha

    jo bikhrin yar ki zulfen bana pallu KHutan mera

    sata le jitna ji chahe magar itna samajh rakhna

    rasa hoga kabhi to nala ai charKH-e-kuhan mera

    na daman hi salamat hai na jeb-o-astin baqi

    hua hai nazr-e-KHar-e-dasht sara pairahan mera

    hare phir kar diye zaKHm-e-jigar abr-e-bahaaran ne

    hua shadab do chhinTon mein ye ujDa chaman mera

    wo kahte hain kaho jo kuchh tumhein kahna ho ai 'kaifi'

    magar taqat kahan se lae kahne ki dahan mera

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now