Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

na puchh ai nur-e-shama-e-husn parwanon pe kya guzri

Hairat bin Wahid

na puchh ai nur-e-shama-e-husn parwanon pe kya guzri

Hairat bin Wahid

MORE BYHairat bin Wahid

    na pūchh ai nūr-e-sham.a-e-husn parvānoñ pe kyā guzrī

    huā shoa.la-fishāñ jo to dīvānoñ pe kyā guzrī

    batā.eñ ahl-e-dil duniyā ke īmānoñ pe kyā guzrī

    masājid par paḌīñ choTeñ to but-ḳhānoñ pe kyā guzrī

    jalānā barq to shaġhl thā gar ghar jalā Daale

    vo kyoñ ye sochtī duniyā ke ḳhas-ḳhānoñ pe kyā guzrī

    batāo to zarā insāniyat ke nām-levāo

    ki ḳhud insān ke hāthoñ se insānoñ pe kyā guzrī

    nigāhoñ vo halkā tasādum hai ma.āz-allāh

    phir is ke baa'd kyā kahiye ki dīvānoñ pe kyā guzrī

    musallam terī tābānī bajā ai sham.a zau terī

    magar ye bhī kabhī dekhā ki parvānoñ pe kyā guzrī

    dar-e-zindāñ pe vo maġhmūm-o-āzurda se baiThe haiñ

    ilāhī ḳhair ho aaj un ke dīvānoñ pe kyā guzrī

    duā.eñ mai-kashoñ phirtī haiñ bhaTkī huī 'hairat'

    ye kyoñ bāb-e-asar hai band mai-ḳhānoñ pe kyā guzrī

    na puchh ai nur-e-shama-e-husn parwanon pe kya guzri

    hua shoala-fishan jo tu to diwanon pe kya guzri

    bataen ahl-e-dil duniya ke imanon pe kya guzri

    masajid par paDin choTen to but-KHanon pe kya guzri

    jalana barq ka to shaghl tha gar ghar jala Dale

    wo kyon ye sochti duniya ke KHas-KHanon pe kya guzri

    batao to zara insaniyat ke nam-lewao

    ki KHud insan ke hathon se insanon pe kya guzri

    nigahon ka wo halka sa tasadum hai maaz-allah

    phir is ke ba'd kya kahiye ki diwanon pe kya guzri

    musallam teri tabani baja ai shama zau teri

    magar ye bhi kabhi dekha ki parwanon pe kya guzri

    dar-e-zindan pe wo maghmum-o-azurda se baiThe hain

    ilahi KHair ho aaj un ke diwanon pe kya guzri

    duaen mai-kashon ki phirti hain bhaTki hui 'hairat'

    ye kyon bab-e-asar hai band mai-KHanon pe kya guzri

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now