na puchh ishq ke sadme uThae hain kya kya
na puchh ishq ke sadme uThae hain kya kya
Mushafi Ghulam Hamdani
MORE BYMushafi Ghulam Hamdani
na pūchh ishq ke sadme uThā.e haiñ kyā kyā
shab-e-firāq meñ ham tilmilā.e haiñ kyā kyā
zarā tū dekh to sannā-e-dast-e-qudrat ne
tilism-e-ḳhāk se naqshe uThā.e haiñ kyā kyā
maiñ us ke husn ke aalam kī kyā karūñ tārīf
na pūchh mujh se ki aalam dikhā.e haiñ kyā kyā
zarā to dekh tū ghar se nikal ke ai be-mehr
ki dekhne ko tire log aa.e haiñ kyā kyā
koī paTaktā hai sar koī jaan khotā hai
tire ḳhirām ne fitne uThā.e haiñ kyā kyā
zarā tū aan ke āb-e-ravāñ kī sair to kar
hamārī chashm ne chashme bahā.e haiñ kyā kyā
nigāh-e-ġhaur se Tuk 'mus.hafī' kī jānib dekh
jigar pe us ne tire zaḳhm khaa.e haiñ kyā kyā
na puchh ishq ke sadme uThae hain kya kya
shab-e-firaq mein hum tilmilae hain kya kya
zara tu dekh to sanna-e-dast-e-qudrat ne
tilism-e-KHak se naqshe uThae hain kya kya
main us ke husn ke aalam ki kya karun tarif
na puchh mujh se ki aalam dikhae hain kya kya
zara to dekh tu ghar se nikal ke ai be-mehr
ki dekhne ko tere log aae hain kya kya
koi paTakta hai sar koi jaan khota hai
tere KHiram ne fitne uThae hain kya kya
zara tu aan ke aab-e-rawan ki sair to kar
hamari chashm ne chashme bahae hain kya kya
nigah-e-ghaur se Tuk 'mushafi' ki jaanib dekh
jigar pe us ne tere zaKHm khae hain kya kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.