na puchh kab se ye dam ghuT raha hai sine mein
na pūchh kab se ye dam ghuT rahā hai siine meñ
ki maut kā sā maza aa rahā hai jiine meñ
na jaane kyuuñ ye talātum Dubo nahīñ detā
ki nāḳhudā bhī nahīñ ab mire safīne meñ
qadam qadam pe bachāyā hai Thokaroñ se magar
ḳharāsh aa hī ga.ī dil ke ābgīne meñ
mahak rahī hai sabā sub.h se na jaane kyuuñ
nahā ke aa.ī hai shāyad tire pasīne meñ
'shamīm' sāhil o kashtī se kuchh umiid na rakh
koī vaqār nahīñ is tarah se jiine meñ
na puchh kab se ye dam ghuT raha hai sine mein
ki maut ka sa maza aa raha hai jine mein
na jaane kyun ye talatum Dubo nahin deta
ki naKHuda bhi nahin ab mere safine mein
qadam qadam pe bachaya hai Thokaron se magar
KHarash aa hi gai dil ke aabgine mein
mahak rahi hai saba subh se na jaane kyun
naha ke aai hai shayad tere pasine mein
'shamim' sahil o kashti se kuchh umid na rakh
koi waqar nahin is tarah se jine mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.