na puchh KHwab zuleKHa ne kya KHayal liya
na pūchh ḳhvāb zuleḳhā ne kyā ḳhayāl liyā
ki kārvāñ kā kan.āñ ke jī nikāl liyā
rah-e-talab meñ gire hote sar ke bal ham bhī
shikasta-pā.ī ne apnī hameñ sambhāl liyā
rahūñ huuñ barsoñ se ham dosh par kabhū un ne
gale maiñ haath mirā pyaar se na Daal liyā
butāñ kī 'mīr' sitam vo nigāh hai jis ne
ḳhudā ke vāste bhī ḳhalq kā vabāl liyā
na puchh KHwab zuleKHa ne kya KHayal liya
ki karwan ka kanan ke ji nikal liya
rah-e-talab mein gire hote sar ke bal hum bhi
shikasta-pai ne apni hamein sambhaal liya
rahun hun barson se hum dosh par kabhu un ne
gale main hath mera pyar se na Dal liya
butan ki 'mir' sitam wo nigah hai jis ne
KHuda ke waste bhi KHalq ka wabaal liya
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0082
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.