na puchh kis liye zaKHm-e-jigar ko dekhte hain
na pūchh kis liye zaḳhm-e-jigar ko dekhte haiñ
is aa.ine meñ kisī kī nazar ko dekhte haiñ
dam-e-fanā tirī pahlī nigāh yaad aa.ī
ham aaj shaam meñ shāmil sahar ko dekhte haiñ
kuchh is tarah huiiñ taqsīm shoḳhiyāñ un kī
har ek ne yahī samjhā udhar ko dekhte haiñ
shikast-e-dil kā yahāñ ab ḳhayāl hai kis ko
tirī nigāh meñ kaif-o-zafar ko dekhte haiñ
kahāñ kahāñ hai ḳhalish dard kī ma.āz-allāh
kahāñ kahāñ tirī tirchhī nazar ko dekhte haiñ
bahut buland hai merī nigāh ai 'maikash'
vo aur hoñge jo aib-o-hunar ko dekhte haiñ
na puchh kis liye zaKHm-e-jigar ko dekhte hain
is aaine mein kisi ki nazar ko dekhte hain
dam-e-fana teri pahli nigah yaad aai
hum aaj sham mein shamil sahar ko dekhte hain
kuchh is tarah huin taqsim shoKHiyan un ki
har ek ne yahi samjha udhar ko dekhte hain
shikast-e-dil ka yahan ab KHayal hai kis ko
teri nigah mein kaif-o-zafar ko dekhte hain
kahan kahan hai KHalish dard ki maaz-allah
kahan kahan teri tirchhi nazar ko dekhte hain
bahut buland hai meri nigah ai 'maikash'
wo aur honge jo aib-o-hunar ko dekhte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.