na puchh martaba-o-shan-e-KHak-dan-e-majaz
na pūchh martaba-o-shān-e-ḳhāk-dān-e-majāz
zamīn-e-arsh se ūñchā hai āsmān-e-majāz
ye ḳhuub jānte haiñ jo haiñ rāz-dān-e-majāz
zabān ahl-e-haqīqat kī hai zabān-e-majāz
hudūd-e-arsh-o-azal marhalāt-e-hashr-o-abad
haiñ sab ye silsila-e-sharh-e-dāstān-e-majāz
ye raaz ahl-e-ḳhirad se magar nahīñ maḳhfī
ki ḳhud zabān-e-haqīqat hai tarjumān-e-majāz
nigāh ahl-e-nazar kī bhī ho ga.ī majbūr
hazār parda-e-hairat haiñ darmiyān-e-majāz
vajūd kyā ki 'adam kā bhī e'tibār nahīñ
kahāñ rukegā ḳhudā jaane kārvān-e-majāz
rumūz-e-ḳhās yahāñ tak hue haiñ faash ki ab
haqīqatoñ pe bhī aksar ko hai gumān-e-majāz
na puchh martaba-o-shan-e-KHak-dan-e-majaz
zamin-e-arsh se uncha hai aasman-e-majaz
ye KHub jaante hain jo hain raaz-dan-e-majaz
zaban ahl-e-haqiqat ki hai zaban-e-majaz
hudud-e-arsh-o-azal marhalat-e-hashr-o-abad
hain sab ye silsila-e-sharh-e-dastan-e-majaz
ye raaz ahl-e-KHirad se magar nahin maKHfi
ki KHud zaban-e-haqiqat hai tarjuman-e-majaz
nigah ahl-e-nazar ki bhi ho gai majbur
hazar parda-e-hairat hain darmiyan-e-majaz
wajud kya ki 'adam ka bhi e'tibar nahin
kahan rukega KHuda jaane karwan-e-majaz
rumuz-e-KHas yahan tak hue hain fash ki ab
haqiqaton pe bhi aksar ko hai guman-e-majaz
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.