na puchh rah-e-talab mein kidhar se guzra hun
na pūchh rāh-e-talab meñ kidhar se guzrā huuñ
tire hī paas se guzrā jidhar se guzrā huuñ
ḳhudā gavāh ki dil meñ ḳhulūs-e-ġham le kar
ba-ehtirām shab-e-be-sahar se guzrā huuñ
tirī nazar ko bhī ab tak ḳhabar nahīñ ai dost
is ehtiyāt se terī nazar se guzrā huuñ
tire ḳhayāl ko bhī Thes lag na jaa.e kahīñ
bahut sañbhal ke ġham-e-mo'tabar se guzrā huuñ
kabhī kabhī to ik aisā maqām aayā hai
maiñ husn ban ke ḳhud apnī nazar se guzrā huuñ
bas is qadar hai mirī sharh-e-sarguzasht-e-hayāt
kisī kī ik nigah-e-muḳhtasar se guzrā huuñ
kise batā.ūñ kyā ai 'ārzū' maiñ kitnī baar
ḳhud un ke zehn meñ un kī nazar se guzrā huuñ
na puchh rah-e-talab mein kidhar se guzra hun
tere hi pas se guzra jidhar se guzra hun
KHuda gawah ki dil mein KHulus-e-gham le kar
ba-ehtiram shab-e-be-sahar se guzra hun
teri nazar ko bhi ab tak KHabar nahin ai dost
is ehtiyat se teri nazar se guzra hun
tere KHayal ko bhi Thes lag na jae kahin
bahut sanbhal ke gham-e-mo'tabar se guzra hun
kabhi kabhi to ek aisa maqam aaya hai
main husn ban ke KHud apni nazar se guzra hun
bas is qadar hai meri sharh-e-sarguzasht-e-hayat
kisi ki ek nigah-e-muKHtasar se guzra hun
kise bataun kya ai 'arzu' main kitni bar
KHud un ke zehn mein un ki nazar se guzra hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.