na puchhiye ki kaha kya hai an-kahi kya hai
na pūchhiye ki kahā kyā hai an-kahī kyā hai
azaab jhel rahā huuñ suḳhanvarī kyā hai
ajab hai zauq-e-tamāshā ki ghar jalā kar log
ye chāhte haiñ samajhnā ki raushnī kyā hai
pas-e-nazar ho agar maqsad-e-hayāt to phir
ye ziist vaqt guzārī hai zindagī kyā hai
maiñ multajī huuñ na vo multafit magar phir bhī
ye ek aag diloñ meñ lagī huī kyā hai
maiñ dil ke daaġh dikhā.ūñ ki zaḳhm-e-sar un ko
jo pūchhte haiñ ki mafhūm-e-dostī kyā hai
na puchhiye ki kaha kya hai an-kahi kya hai
azab jhel raha hun suKHanwari kya hai
ajab hai zauq-e-tamasha ki ghar jala kar log
ye chahte hain samajhna ki raushni kya hai
pas-e-nazar ho agar maqsad-e-hayat to phir
ye zist waqt guzari hai zindagi kya hai
main multaji hun na wo multafit magar phir bhi
ye ek aag dilon mein lagi hui kya hai
main dil ke dagh dikhaun ki zaKHm-e-sar un ko
jo puchhte hain ki mafhum-e-dosti kya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.