na puchho kaise himmat kar rahe hain
na pūchho kaise himmat kar rahe haiñ
jo ham phir se mohabbat kar rahe haiñ
na jaane kyā chhupānā chāhte haiñ
jo ham itnī vazāhat kar rahe haiñ
yahī bachche imāmat bhī kareñge
jo masjid meñ sharārat kar rahe haiñ
ḳhushī meñ kis tarah nikleñge aañsū
abhī aañsū riyāzat kar rahe haiñ
hamārī tāj-poshī multavī ho
abhī to log bai'at kar rahe haiñ
mire āñgan meñ kuchh bhūke parinde
musalsal merī ġhībat kar raheñ haiñ
kabhī ajdād ne kī thī baġhāvat
lihāzā ham hukūmat kar rahe haiñ
na puchho kaise himmat kar rahe hain
jo hum phir se mohabbat kar rahe hain
na jaane kya chhupana chahte hain
jo hum itni wazahat kar rahe hain
yahi bachche imamat bhi karenge
jo masjid mein shararat kar rahe hain
KHushi mein kis tarah niklenge aansu
abhi aansu riyazat kar rahe hain
hamari taj-poshi multawi ho
abhi to log bai'at kar rahe hain
mere aangan mein kuchh bhuke parinde
musalsal meri ghibat kar rahen hain
kabhi ajdad ne ki thi baghawat
lihaza hum hukumat kar rahe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.