na puchho kaise shab-e-intizar guzri hai
na pūchho kaise shab-e-intizār guzrī hai
bhalā ho dil kā bahut be-qarār guzrī hai
hazār maslihateñ jis meñ kār-farmā hoñ
vo ik nigāh-e-karam ham pe baar guzrī hai
hai istilāh-e-mohabbat meñ jis kā naam junūñ
vo ek rasm baḌī pā.edār guzrī hai
zarūr us ne tire pairahan ko chūmā thā
jo is taraf se sabā mushk-bār guzrī hai
vo bāġhbāñ bhī koī bāġhbāñ hai jis kī hayāt
rahīn-e-minnat-e-fasl-e-bahār guzrī he
luTā hai kaun ġharīb-ud-dayār raste meñ
ye kis ke ġham meñ sabā sogvār guzrī hai
nisār us pe huuñ maiñ jis kī zindagī 'sāqī'
bashar ke auj kī ā.īna-dār guzrī hai
na puchho kaise shab-e-intizar guzri hai
bhala ho dil ka bahut be-qarar guzri hai
hazar maslihaten jis mein kar-farma hon
wo ek nigah-e-karam hum pe bar guzri hai
hai istilah-e-mohabbat mein jis ka nam junun
wo ek rasm baDi paedar guzri hai
zarur us ne tere pairahan ko chuma tha
jo is taraf se saba mushk-bar guzri hai
wo baghban bhi koi baghban hai jis ki hayat
rahin-e-minnat-e-fasl-e-bahaar guzri he
luTa hai kaun gharib-ud-dayar raste mein
ye kis ke gham mein saba sogwar guzri hai
nisar us pe hun main jis ki zindagi 'saqi'
bashar ke auj ki aaina-dar guzri hai
- Book : SAAZ-O-NAVA (Pg. 16)
- Publication : Raghu Nath suhai ummid
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.