na puchho ki qaem ka kya haal hai
na pūchho ki 'qā.em' kā kyā haal hai
kuchh ik Dher haDDiyoñ kā yā khaal hai
jo baiThe to hai rū-e-qālīñ kā naqsh
khaḌā ho to kāġhaz kī timsāl hai
khaTaktā hai pahlū meñ yuuñ ham-nashīñ
kahe to ye dil tiir kī bhaal hai
giraftār hai jo tirī zulf kā
vo har qaid se fāriġh-ul-bāl hai
uThā rauñd Daale ik aalim ke dil
bhalā shoḳh ye bhī koī chaal hai
ulajhtā hai jī shaiḳh kī riish dekh
vo sach hai misl baal janjāl hai
dhaḌakne kā dil par hai gaahe hujūm
gahe chashm girya kī pāmāl hai
ye goyā dar-e-daulat-e-ishq par
dil o diida sāmān ghaḌiyāl hai
ḳhush aa.ī hai 'qā.em' yahī gar zamīñ
to phir kah na mazmūñ kā kyā kaal hai
na puchho ki 'qaem' ka kya haal hai
kuchh ek Dher haDDiyon ka ya khaal hai
jo baiThe to hai ru-e-qalin ka naqsh
khaDa ho to kaghaz ki timsal hai
khaTakta hai pahlu mein yun ham-nashin
kahe to ye dil tir ki bhaal hai
giraftar hai jo teri zulf ka
wo har qaid se farigh-ul-baal hai
uTha raund Dale ek aalim ke dil
bhala shoKH ye bhi koi chaal hai
ulajhta hai ji shaiKH ki rish dekh
wo sach hai misl baal janjal hai
dhaDakne ka dil par hai gahe hujum
gahe chashm girya ki pamal hai
ye goya dar-e-daulat-e-ishq par
dil o dida saman ghaDiyal hai
KHush aai hai 'qaem' yahi gar zamin
to phir kah na mazmun ka kya kal hai
- Deewan-e-Qaem Chandpuri (Rekhta Website)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.