na puchho musafir kahan so raha hai
na puchho musafir kahan so raha hai
Azimuddin Sahil Kalamnoori
MORE BYAzimuddin Sahil Kalamnoori
na pūchho musāfir kahāñ so rahā hai
vahī ghar hai us kā jahāñ so rahā hai
parinde bhī hamd-o-sanā kar rahe haiñ
magar tū ba-vaqt-e-azāñ so rahā hai
thapeḌoñ meñ lū kī jo din-bhar chalā thā
vo manzil pe ab kārvāñ so rahā hai
na chhat hai saroñ par na bistar hī koī
ye mehnat-kashoñ kā jahāñ so rahā hai
jagāo na is ko ki kuchh der pahle
sunā kar dukhoñ kā bayāñ so rahā hai
ye bachpan ke sāthī kī hai qabr 'sāhil'
jo sab ko rulā kar yahāñ so rahā hai
na puchho musafir kahan so raha hai
wahi ghar hai us ka jahan so raha hai
parinde bhi hamd-o-sana kar rahe hain
magar tu ba-waqt-e-azan so raha hai
thapeDon mein lu ki jo din-bhar chala tha
wo manzil pe ab karwan so raha hai
na chhat hai saron par na bistar hi koi
ye mehnat-kashon ka jahan so raha hai
jagao na is ko ki kuchh der pahle
suna kar dukhon ka bayan so raha hai
ye bachpan ke sathi ki hai qabr 'sahil'
jo sab ko rula kar yahan so raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.