na puchho saghar-o-mai aur mai-KHanon pe kya guzri
na puchho saghar-o-mai aur mai-KHanon pe kya guzri
Nawab Syed Hakeem Ahmad Naqwi badayuni
MORE BYNawab Syed Hakeem Ahmad Naqwi badayuni
na pūchho sāġhar-o-mai aur mai-ḳhānoñ pe kyā guzrī
na ho saaqī to ye pūchho ki mastānoñ pe kyā guzrī
na kah mutrib mirī chup se tire gānoñ pe kyā guzrī
zarā pūchh apnī tānoñ se mire kānoñ pe kyā guzrī
junūñ kahiye jise ik mauj-e-bahr-e-lā-shu.ūrī hai
koī farzāna kyā samjhe ki dīvānoñ pe kyā guzrī
maiñ tūfānoñ se laḌ-bhiḌ kar salāmat jab nikal aaya
to ye merī balā jaane ki tūfānoñ pe kyā guzrī
vahī vahshat hai mere baad bhī jo mujh se pahle thī
guzarnā thī jo guzrī mujh pe vīrānoñ pe kyā guzrī
jalānā thā mujhe aur un ko jal kar ḳhaak ho jaanā
ab is kī fikr kyā hai sham.a parvānoñ pe kyā guzrī
agar patthar ke dil hotā to sunte us kā afsāna
ki ahd-e-khusravī ke baad aivānoñ pe kyā guzrī
maiñ un kī bazm meñ chhup kar gayā chhup kar nikal aaya
ḳhudā jaane ki mere baad darbānoñ pe kyā guzrī
samajh vaale samajhte haiñ ki un par kyā guzartī hai
vo nādāñ hai jo ye pūchhe ki nā-dānoñ pe kyā guzrī
tire dast-o-zabāñ kī larzisheñ mā'lūm haiñ zāhid
magar ye to batā tasbīh ke dānoñ pe kyā guzrī
huī vābastagī jab ādam-o-havvā kī jannat meñ
na pūchho muntazir hūroñ ke armānoñ pe kyā guzrī
jab insānoñ ko ashraf kā milā tamġha to ye kahiye
pahāḌoñ aur daraḳhtoñ aur haivānoñ pe kyā guzrī
na puchho saghar-o-mai aur mai-KHanon pe kya guzri
na ho saqi to ye puchho ki mastanon pe kya guzri
na kah mutrib meri chup se tere ganon pe kya guzri
zara puchh apni tanon se mere kanon pe kya guzri
junun kahiye jise ek mauj-e-bahr-e-la-shuuri hai
koi farzana kya samjhe ki diwanon pe kya guzri
main tufanon se laD-bhiD kar salamat jab nikal aaya
to ye meri bala jaane ki tufanon pe kya guzri
wahi wahshat hai mere baad bhi jo mujh se pahle thi
guzarna thi jo guzri mujh pe viranon pe kya guzri
jalana tha mujhe aur un ko jal kar KHak ho jaana
ab is ki fikr kya hai shama parwanon pe kya guzri
agar patthar ke dil hota to sunte us ka afsana
ki ahd-e-khusrawi ke baad aiwanon pe kya guzri
main un ki bazm mein chhup kar gaya chhup kar nikal aaya
KHuda jaane ki mere baad darbanon pe kya guzri
samajh wale samajhte hain ki un par kya guzarti hai
wo nadan hai jo ye puchhe ki na-danon pe kya guzri
tere dast-o-zaban ki larzishen ma'lum hain zahid
magar ye to bata tasbih ke danon pe kya guzri
hui wabastagi jab aadam-o-hawwa ki jannat mein
na puchho muntazir huron ke armanon pe kya guzri
jab insanon ko ashraf ka mila tamgha to ye kahiye
pahaDon aur daraKHton aur haiwanon pe kya guzri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.