na ras aai hum ko jawani hamari
na raas aa.ī ham ko javānī hamārī
kaTe kyā baras zindagānī hamārī
adū kī shab-e-vasl sau baar sadqe
shab-e-ġham hai kitnī suhānī hamārī
daġhā de rahe haiñ dam-e-naza.a tum ko
ye hai vaqt-e-ruḳhsat nishānī hamārī
kiye maiñ ne shikve to vo hañs ke bole
adū par bhī hai mehrbānī hamārī
unhīñ ne to dīvāna ham ko banāyā
vahī ab kareñ pāsbānī hamārī
ye saaqī ne sāġhar meñ kyā chiiz de dī
ki tauba huī paanī paanī hamārī
satāte haiñ ham bhī hasīnoñ ko kyā kyā
satātī hai ham ko javānī hamārī
lagī thī jo mai muñh se bhar tauba kyuuñ kī
huī talḳh kyā zindagānī hamārī
kiyā jhuuT va.ada kareñ ham jo tujh se
tire kaam aa.e javānī hamārī
bahut be-asar tum use jānte the
zabānoñ par ab hai kahānī hamārī
qafas dast-e-sayyād meñ ham qafas meñ
ye kaam aa.ī hai ḳhush-bayānī hamārī
'riyāz' aap ham qadr-dāñ apne nikle
kisī ne na kī qadrdānī hamārī
na ras aai hum ko jawani hamari
kaTe kya baras zindagani hamari
adu ki shab-e-wasl sau bar sadqe
shab-e-gham hai kitni suhani hamari
dagha de rahe hain dam-e-naza tum ko
ye hai waqt-e-ruKHsat nishani hamari
kiye main ne shikwe to wo hans ke bole
adu par bhi hai mehrbani hamari
unhin ne to diwana hum ko banaya
wahi ab karen pasbani hamari
ye saqi ne saghar mein kya chiz de di
ki tauba hui pani pani hamari
satate hain hum bhi hasinon ko kya kya
satati hai hum ko jawani hamari
lagi thi jo mai munh se bhar tauba kyun ki
hui talKH kya zindagani hamari
kiya jhuT wada karen hum jo tujh se
tere kaam aae jawani hamari
bahut be-asar tum use jaante the
zabanon par ab hai kahani hamari
qafas dast-e-sayyaad mein hum qafas mein
ye kaam aai hai KHush-bayani hamari
'riyaz' aap hum qadr-dan apne nikle
kisi ne na ki qadrdani hamari
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.