na ras aaya mohabbat ka ye KHumar mujhe
na raas aayÄ mohabbat kÄ ye áž³humÄr mujhe
maiñ be-qarÄr huuñ pal bhar nahīñ qarÄr mujhe
pukÄrtÄ thÄ mujhe pyaar se jo bÅ«-e-gulÄb
usÄ« ne kÄñToñ kÄ pahnÄ diyÄ hai haar mujhe
jo mere pyaar ko ThukrÄ ke ho gayÄ anjÄn
kyuuñ apnÄ« yaad dilÄtÄ hai baar baar mujhe
dilÄ rahÄ hai mohabbat kÄ phir yaqīñ mujh ko
chalÄ gayÄ jo mohabbat meñ kar ke áž³haar mujhe
na kar sakūñgÄ« maiñ 'áž³handa' ab e'tibÄr us kÄ
pata hai kyÄ hai mohabbat kÄ kÄrobÄr mujhe
na ras aaya mohabbat ka ye KHumar mujhe
main be-qarar hun pal bhar nahin qarar mujhe
pukarta tha mujhe pyar se jo bu-e-gulab
usi ne kanTon ka pahna diya hai haar mujhe
jo mere pyar ko Thukra ke ho gaya anjaan
kyun apni yaad dilata hai bar bar mujhe
dila raha hai mohabbat ka phir yaqin mujh ko
chala gaya jo mohabbat mein kar ke KHar mujhe
na kar sakungi main 'KHanda' ab e'tibar us ka
pata hai kya hai mohabbat ka karobar mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.