na rasta koi us ka na us ka KHwab koi
na rāsta koī us kā na us kā ḳhvāb koī
paḌā na ishq pe aisā kabhī azaab koī
kisī kā husn thā yuuñ āñsuoñ ke dāman meñ
charāġh jaltā ho jis tarah zer-e-āb koī
zamāne-bhar kī atāoñ meñ sirf us kā karam
karam bhī aisā ki jis kā nahīñ javāb koī
tamāzat-e-ġham-e-duniyā meñ us ko yaad kiyā
to dasht-e-dil pe barastā rahā sahāb koī
agar fasānoñ ke pīchhe koī haqīqat hai
to ḳhvāb aur bhī hogā varā-e-ḳhvāb koī
ye log bol rahe haiñ magar fazā hai ḳhamosh
hamāre ahd meñ aanā hai inqalāb koī
vo jab hujūm ke narġhe meñ aur tanhā thā
to dekhne kī thī phir us kī āb-o-tāb koī
ab us kī bazm se aa kar ḳhamosh rahtā hai
thā bārgāh meñ ik roz bāryāb koī
har ek raah se haT kar guzarte ho 'ādil'
to is tarah se milā hai kabhī janāb koī
na rasta koi us ka na us ka KHwab koi
paDa na ishq pe aisa kabhi azab koi
kisi ka husn tha yun aansuon ke daman mein
charagh jalta ho jis tarah zer-e-ab koi
zamane-bhar ki ataon mein sirf us ka karam
karam bhi aisa ki jis ka nahin jawab koi
tamazat-e-gham-e-duniya mein us ko yaad kiya
to dasht-e-dil pe barasta raha sahab koi
agar fasanon ke pichhe koi haqiqat hai
to KHwab aur bhi hoga wara-e-KHwab koi
ye log bol rahe hain magar faza hai KHamosh
hamare ahd mein aana hai inqalab koi
wo jab hujum ke narghe mein aur tanha tha
to dekhne ki thi phir us ki aab-o-tab koi
ab us ki bazm se aa kar KHamosh rahta hai
tha bargah mein ek roz baryab koi
har ek rah se haT kar guzarte ho 'adil'
to is tarah se mila hai kabhi janab koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.