na rah-rau na manzil na rasta hua
na rah-rau na manzil na rasta huā
ye jiinā bhī kyā ḳhaak jiinā huā
huā thā zarā ranj-e-ġhurbat mujhe
ma.an meherbāñ ek kāñTā huā
jo socho to har shaḳhs hai niiñd meñ
jo dekho to har shaḳhs jaagā huā
simaT kar jiyūñgā to mar jā.ūñgā
mujhe yūñhī rahne do bikhrā huā
mujhe chheḌ kar log pachhtā.eñge
maiñ be-jām-o-bāda huuñ Duubā huā
mire qātiloñ kī vafā dekhiye
merī yaad meñ raat jalsa huā
mirā aur us kā taqābul kahāñ
vo dariyā maiñ tūfān Thahrā huā
kahāñ tak sameTegī duniyā mujhe
na jaane kahāñ tak huuñ phailā huā
tumhīñ baḌh ke 'zebā' ik āvāz do
zamāne ko so.e zamāna huā
na rah-rau na manzil na rasta hua
ye jina bhi kya KHak jina hua
hua tha zara ranj-e-ghurbat mujhe
man meherban ek kanTa hua
jo socho to har shaKHs hai nind mein
jo dekho to har shaKHs jaga hua
simaT kar jiyunga to mar jaunga
mujhe yunhi rahne do bikhra hua
mujhe chheD kar log pachhtaenge
main be-jam-o-baada hun Duba hua
mere qatilon ki wafa dekhiye
meri yaad mein raat jalsa hua
mera aur us ka taqabul kahan
wo dariya main tufan Thahra hua
kahan tak sameTegi duniya mujhe
na jaane kahan tak hun phaila hua
tumhin baDh ke 'zeba' ek aawaz do
zamane ko soe zamana hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.