na raha shikwa-e-jafa na raha
na rahā shikva-e-jafā na rahā
ho ke dushman bhī āshnā na rahā
bevafā jān-o-māl be-sarfa
kyā rahā jab ki dil-rubā na rahā
sabhī aġhyār haiñ sabhī āshiq
e'timād us kā ek jā na rahā
ḳhaak thā jis chaman kī rañg-e-iram
patte patte kā vaañ patā na rahā
vasl meñ kyā visāl mushkil thā
yaad par roz hijr kā na rahā
ḳhat mirā vaañ gayā gayā na gayā
sar-e-qāsid rahā rahā na rahā
dil meñ rahtā hai kaun ġham ke sivā
koī is ghar meñ dūsrā na rahā
ġhair aur shikva-e-jafā tum se
haa.e maiñ qābul-e-vafā na rahā
kyā huā kyuuñ 'qalaq' ko rote ho
koī is dahr meñ sadā na rahā
na raha shikwa-e-jafa na raha
ho ke dushman bhi aashna na raha
bewafa jaan-o-mal be-sarfa
kya raha jab ki dil-ruba na raha
sabhi aghyar hain sabhi aashiq
e'timad us ka ek ja na raha
KHak tha jis chaman ki rang-e-iram
patte patte ka wan pata na raha
wasl mein kya visal mushkil tha
yaad par roz hijr ka na raha
KHat mera wan gaya gaya na gaya
sar-e-qasid raha raha na raha
dil mein rahta hai kaun gham ke siwa
koi is ghar mein dusra na raha
ghair aur shikwa-e-jafa tum se
hae main qabul-e-wafa na raha
kya hua kyun 'qalaq' ko rote ho
koi is dahr mein sada na raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.