na rakh ham-dam talluq barhami se
na rakh ham-dam ta'alluq barhamī se
talab kar zahr bhī to ājizī se
khile din meñ bhī hai tārīk duniyā
adāvat chal rahī hai raushnī se
ye nāzuk phuul qātil ban ga.e haiñ
kaleja kaT rahā hai pankhuḌī se
kitāboñ meñ jo ḳhush-kun zindagī hai
kabhī nikle jahān-e-kāġhazī se
sharāfat aaj kyoñ gosha-nashīñ hai
zarā socho 'sadaf' sanjīdgī se
na rakh ham-dam ta'alluq barhami se
talab kar zahr bhi to aajizi se
khile din mein bhi hai tarik duniya
adawat chal rahi hai raushni se
ye nazuk phul qatil ban gae hain
kaleja kaT raha hai pankhuDi se
kitabon mein jo KHush-kun zindagi hai
kabhi nikle jahan-e-kaghazi se
sharafat aaj kyon gosha-nashin hai
zara socho 'sadaf' sanjidgi se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.