na rang-o-bu hai na kaif-o-naghma nazar mein bhi dilruba nahin hai
na rang-o-bu hai na kaif-o-naghma nazar mein bhi dilruba nahin hai
JaiKrishn Chaudhry Habeeb
MORE BYJaiKrishn Chaudhry Habeeb
na rañg-o-bū hai na kaif-o-naġhma nazar meñ bhī dilrubā nahīñ hai
maiñ kaise samjhūñ bahār aa.ī ki ġhuncha dil kā khilā nahīñ hai
tirī mohabbat ke ḳhvāb dekhe tirī mohabbat ke giit gaa.e
terī mohabbat meñ kyā na paayā terī mohabbat meñ kyā nahīñ hai
chhupā.ūñ zaḳhmoñ ke apne dil meñ na aa.e nok-e-mizha pe aañsū
karo na rusvā yuuñ apne ġham ko ki ye to rasm-e-vafā nahīñ hai
vo sāz-e-dil jo kabhī thā chheḌā tirī nazar ne ba-nāz-o-shoḳhī
vo ab bhī naġhma-sarā hai lekin nikaltī koī sadā nahīñ hai
vo guzre vaqtoñ kī ab haiñ yādeñ sahāre jin ke maiñ jī rahā huuñ
kaho na mujh se ki un meñ kyā hai ye mujh se pūchho ki kyā nahīñ hai
na jaane terī talāsh meñ kyoñ bhaTak bhaTak kar maiñ rah gayā huuñ
vagarna har zarra-e-zamīñ par jahāñ tirā naqsh-e-pā nahīñ hai
hayāt kī shaam kaash merī tirī hī yādoñ meñ biit jaa.e
ki vaqt-e-āḳhir ye kah sakūñ maiñ ki zindagī se gilā nahīñ hai
ye buġhz-o-nafrat ke sho.ale har sū banā rahe haiñ vatan ko dozaḳh
hamīñ haiñ chup-chāp aur be-his ki jaise kuchh bhī huā nahīñ hai
mujhe zarūrat 'habīb' kyā hai charāġh-e-dair-o-haram kī āḳhir
jo dil meñ bhaḌkā thā sho.ala-e-ġham vo jal rahā hai bujhā nahīñ hai
na rang-o-bu hai na kaif-o-naghma nazar mein bhi dilruba nahin hai
main kaise samjhun bahaar aai ki ghuncha dil ka khila nahin hai
teri mohabbat ke KHwab dekhe teri mohabbat ke git gae
teri mohabbat mein kya na paya teri mohabbat mein kya nahin hai
chhupaun zaKHmon ke apne dil mein na aae nok-e-mizha pe aansu
karo na ruswa yun apne gham ko ki ye to rasm-e-wafa nahin hai
wo saz-e-dil jo kabhi tha chheDa teri nazar ne ba-naz-o-shoKHi
wo ab bhi naghma-sara hai lekin nikalti koi sada nahin hai
wo guzre waqton ki ab hain yaaden sahaare jin ke main ji raha hun
kaho na mujh se ki un mein kya hai ye mujh se puchho ki kya nahin hai
na jaane teri talash mein kyon bhaTak bhaTak kar main rah gaya hun
wagarna har zarra-e-zamin par jahan tera naqsh-e-pa nahin hai
hayat ki sham kash meri teri hi yaadon mein bit jae
ki waqt-e-aKHir ye kah sakun main ki zindagi se gila nahin hai
ye bughz-o-nafrat ke shoale har su bana rahe hain watan ko dozaKH
hamin hain chup-chap aur be-his ki jaise kuchh bhi hua nahin hai
mujhe zarurat 'habib' kya hai charagh-e-dair-o-haram ki aaKHir
jo dil mein bhaDka tha shoala-e-gham wo jal raha hai bujha nahin hai
- Book : نغمۂ زندگی (Pg. 74)
- Author : جے کرشن چودھری حبیب
- Publication : جے کرشن چودھری حبیب
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.