na raundo kanch si rahen hamari
na rauñdo kāñch sī rāheñ hamārī
tumheñ chubh jā.eñgī kircheñ hamārī
musalsal dhoke-bāzī kar rahī haiñ
haiñ dhoka-bāz sab sāñseñ hamārī
hameñ ḳhāmosh hī rahne do yaaro
tumheñ chubh jā.eñgī bāteñ hamārī
karo zulm-o-sitam par yaad rakkho
bahut pur-soz haiñ aa.heñ hamārī
har ik pal reza reza ho rahī haiñ
haiñ bosīda tamannā.eñ hamārī
jaḌeñ tahtassurā kī tah talak haiñ
magar mahdūd haiñ shāḳheñ hamārī
har ik mausam meñ aañsū ug rahe haiñ
baḌī zarḳhez haiñ āñkheñ hamārī
na raundo kanch si rahen hamari
tumhein chubh jaengi kirchen hamari
musalsal dhoke-bazi kar rahi hain
hain dhoka-baz sab sansen hamari
hamein KHamosh hi rahne do yaro
tumhein chubh jaengi baaten hamari
karo zulm-o-sitam par yaad rakkho
bahut pur-soz hain aahen hamari
har ek pal reza reza ho rahi hain
hain bosida tamannaen hamari
jaDen tahtassura ki tah talak hain
magar mahdud hain shaKHen hamari
har ek mausam mein aansu ug rahe hain
baDi zarKHez hain aankhen hamari
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.