na roab-e-jah mein aa kar kisi se guftugu ki
na ro.ab-e-jāh meñ aa kar kisī se guftugū kī
jo ham ne kī to phir apnī ḳhushī se guftugū kī
zarūrī ho gayā thā shahr-e-dil barbād karnā
so kar ke hausla ġhārat-garī se guftugū kī
adab kī mahfileñ khīñcheñ haiñ dil lekin vahāñ to
sabhī the be-adab so be-dilī se guftugū kī
fasāne be-qarārī ke sunātī aur kis ko
ye terā ġham thā tere hijr hī se guftugū kī
amīr-e-saltanat thā shā.iba tak ho na paayā
ki us ne yuuñ kamāl-e-ājizī se guftugū kī
qazā se maañg ke mohlat phir ham ne pal-do-pal kī
ye pahlī baar thā jab zindagī se guftugū kī
maiñ lahje ke fusūñ meñ gum thī so ye tak na samjhī
kyoñ us ne ab ke is vāraftagī se guftugū kī
na raas aa.iiñ jo ham ko mahfileñ shor-o-shaġhab kī
to kunj-e-gul meñ jā kar ḳhāmushī se guftugū kī
dikhā.ī tuur par maiñ ne kuchh aise hoshiyārī
ki āñkheñ band kar ke raushnī se guftugū kī
raqam ik dāstān-e-sabr hone ko thī lekin
samundar ne ḳhud aa kar tishnagī se guftugū kī
'tabassum' kuchh bharam rakhtīñ ta'āruf hone detīñ
yuuñ be-ḳhud ho ke kyoñ us ajnabī se guftugū kī
na roab-e-jah mein aa kar kisi se guftugu ki
jo hum ne ki to phir apni KHushi se guftugu ki
zaruri ho gaya tha shahr-e-dil barbaad karna
so kar ke hausla ghaarat-gari se guftugu ki
adab ki mahfilen khinchen hain dil lekin wahan to
sabhi the be-adab so be-dili se guftugu ki
fasane be-qarari ke sunati aur kis ko
ye tera gham tha tere hijr hi se guftugu ki
amir-e-saltanat tha shaiba tak ho na paya
ki us ne yun kamal-e-ajizi se guftugu ki
qaza se mang ke mohlat phir hum ne pal-do-pal ki
ye pahli bar tha jab zindagi se guftugu ki
main lahje ke fusun mein gum thi so ye tak na samjhi
kyon us ne ab ke is waraftagi se guftugu ki
na ras aain jo hum ko mahfilen shor-o-shaghab ki
to kunj-e-gul mein ja kar KHamushi se guftugu ki
dikhai tur par main ne kuchh aise hoshiyari
ki aankhen band kar ke raushni se guftugu ki
raqam ek dastan-e-sabr hone ko thi lekin
samundar ne KHud aa kar tishnagi se guftugu ki
'tabassum' kuchh bharam rakhtin ta'aruf hone detin
yun be-KHud ho ke kyon us ajnabi se guftugu ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.