na sath KHush tha bichhaD ke wo kuchh udas to hai
na saath ḳhush thā bichhaḌ ke vo kuchh udaas to hai
is e'tibār se dard-e-firāq raas to hai
asar-pazīr bhī ho gar nahīñ hai ye maqdūr
mirī bisāt meñ ik arz-e-iltimās to hai
ye shahr chhoḌ ke jaane ko jī nahīñ kartā
vo mere paas nahīñ mere ās-pās to hai
ba-zāhir us ke tar-o-tāza hoñT jo bhī kaheñ
bujhā na paa.e jo paanī unheñ vo pyaas to hai
gayā zamāna kabhī lauT kar nahīñ aatā
magar vo shaḳhs zamāna nahīñ kuchh aas to hai
kisī se tai na huā kyoñ mo.āmla dil kā
mizāj-dāñ na sahī ye adā-shanās to hai
bad-ehtiyāt nahīñ tere zikr meñ 'shaukat'
tire baġhair agarche ye bad-havās to hai
na sath KHush tha bichhaD ke wo kuchh udas to hai
is e'tibar se dard-e-firaq ras to hai
asar-pazir bhi ho gar nahin hai ye maqdur
meri bisat mein ek arz-e-iltimas to hai
ye shahr chhoD ke jaane ko ji nahin karta
wo mere pas nahin mere aas-pas to hai
ba-zahir us ke tar-o-taza honT jo bhi kahen
bujha na pae jo pani unhen wo pyas to hai
gaya zamana kabhi lauT kar nahin aata
magar wo shaKHs zamana nahin kuchh aas to hai
kisi se tai na hua kyon moamla dil ka
mizaj-dan na sahi ye ada-shanas to hai
bad-ehtiyat nahin tere zikr mein 'shaukat'
tere baghair agarche ye bad-hawas to hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.