na sabaat hai na dawam hai
na sabāt hai na davām hai
ḳhum-e-zindagī hai so ḳhaam hai
hameñ mausamoñ se umiid kyā
hameñ roz roz kā kaam hai
tujhe rāstoñ kā pata na thā
tire hausloñ ko salām hai
na ye sard ho na ye ḳhatm ho
mirī tishnagī mirā jaam hai
maiñ ye pūchhtā huā chal diyā
koī kaam hai koī kaam hai
mujhe 'āmir' aap se kyā ġharaz
ye kalām sab kā kalām hai
na sabaat hai na dawam hai
KHum-e-zindagi hai so KHam hai
hamein mausamon se umid kya
hamein roz roz ka kaam hai
tujhe raston ka pata na tha
tere hauslon ko salam hai
na ye sard ho na ye KHatm ho
meri tishnagi mera jam hai
main ye puchhta hua chal diya
koi kaam hai koi kaam hai
mujhe 'amir' aap se kya gharaz
ye kalam sab ka kalam hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.