na sahi aish, guzara hi sahi
na sahī aish, guzārā hī sahī
ya.anī gar tū nahīñ duniyā hī sahī
chhoḌiye kuchh to mirā bhī mujh meñ
ḳhuun kā āḳhirī qatra hī sahī
ġhaur to kiije mirī bātoñ par
umr meñ aap se chhoTā hī sahī
rañj ham ne bhī judā paa.e haiñ
aap yaktā haiñ to yaktā hī sahī
maiñ burā huuñ to huuñ ab kyā kiije
koī achchhā hai to achchhā hī sahī
kis ko siine se lagā.ūñ tire ba.ad
jaate jaate koī dhoka hī sahī
kar kuchh aisā ki tujhe yaad rakhūñ
bhuul jaane kā taqāzā hī sahī
tum pe kab rok thī chalte jaate
merī sochoñ pe to pahra hī sahī
vo kisī taur na hogā merā
chalo aisā hai to aisā hī sahī
surḳh karne lagī har shai 'javvād'
yaad kā rañg sunahrā hī sahī
na sahi aish, guzara hi sahi
yani gar tu nahin duniya hi sahi
chhoDiye kuchh to mera bhi mujh mein
KHun ka aaKHiri qatra hi sahi
ghaur to kije meri baaton par
umr mein aap se chhoTa hi sahi
ranj hum ne bhi juda pae hain
aap yakta hain to yakta hi sahi
main bura hun to hun ab kya kije
koi achchha hai to achchha hi sahi
kis ko sine se lagaun tere baad
jate jate koi dhoka hi sahi
kar kuchh aisa ki tujhe yaad rakhun
bhul jaane ka taqaza hi sahi
tum pe kab rok thi chalte jate
meri sochon pe to pahra hi sahi
wo kisi taur na hoga mera
chalo aisa hai to aisa hi sahi
surKH karne lagi har shai 'jawwad'
yaad ka rang sunahra hi sahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.