na samjha hun na samjhaya gaya hun
na samjhā huuñ na samjhāyā gayā huuñ
baḌī uljhan meñ uljhāyā gayā huuñ
sabab pūchho na merī tishnagī kā
ik-ik qatre ko tarsāyā gayā huuñ
mujhe jo dekhte ho is zamīñ par
falak se toḌ kar laayā gayā huuñ
kahāñ ab DhūñDte ho ḳhaak merī
havā ke saath hī aayā gayā huuñ
sazā.eñ mujh ko kaisī mil rahī haiñ
maiñ mujrim kis kā Thahrāyā gayā huuñ
shu.ūr aa.e kahāñ se mere andar
ġhalat jo raah dikhlāyā gayā huuñ
na samjha hun na samjhaya gaya hun
baDi uljhan mein uljhaya gaya hun
sabab puchho na meri tishnagi ka
ik-ik qatre ko tarsaya gaya hun
mujhe jo dekhte ho is zamin par
falak se toD kar laya gaya hun
kahan ab DhunDte ho KHak meri
hawa ke sath hi aaya gaya hun
sazaen mujh ko kaisi mil rahi hain
main mujrim kis ka Thahraya gaya hun
shuur aae kahan se mere andar
ghalat jo rah dikhlaya gaya hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.