Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

na samjhe gul-ruKHon ke hum ishaare

Zaheen Shah Taji

na samjhe gul-ruKHon ke hum ishaare

Zaheen Shah Taji

MORE BYZaheen Shah Taji

    na samjhe gul-ruḳhoñ ke ham ishāre

    hameñ patthar na maare phuul maare

    na dekhe apnī kashtī ne to kyā hai

    sunā to hai ki hote haiñ kināre

    ḳhulāsa 'umr bhar 'āshiqī

    hamāre tum nahīñ ham haiñ tumhāre

    mohabbat dostī hai dushmanoñ se

    hue haiñ dil ke dushman dil ke pyāre

    tumhīñ tum ho nahīñ kuchh bhī kahīñ aur

    kahāñ tashbīh kaise isti'āre

    sañvar jā.egā ḳhud nazm-e-‘ālam

    koī pahle tire gesū sañvāre

    dil-e-pur-soz-o-āh-e-ātishīñ se

    nahiñ aañsū nahiñ haiñ jo sharāre

    mohabbat fāteh-e-‘ālam hai lekin

    mohabbat meñ vahī jiite jo haare

    'zahīn' āhista kū-e-dost meñ chal

    ki āsūda yahāñ haiñ chāñd taare

    na samjhe gul-ruKHon ke hum ishaare

    hamein patthar na mare phul mare

    na dekhe apni kashti ne to kya hai

    suna to hai ki hote hain kinare

    KHulasa 'umr bhar ki 'ashiqi ka

    hamare tum nahin hum hain tumhaare

    mohabbat dosti hai dushmanon se

    hue hain dil ke dushman dil ke pyare

    tumhin tum ho nahin kuchh bhi kahin aur

    kahan tashbih kaise isti'are

    sanwar jaega KHud hi nazm-e-‘alam

    koi pahle tere gesu sanware

    dil-e-pur-soz-o-ah-e-atishin se

    nahin aansu nahin hain jo sharare

    mohabbat fateh-e-‘alam hai lekin

    mohabbat mein wahi jite jo haare

    'zahin' aahista ku-e-dost mein chal

    ki aasuda yahan hain chand tare

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now