na samjho tum ki main diwana virane mein rahta hun
na samjho tum ki main diwana virane mein rahta hun
Mushafi Ghulam Hamdani
MORE BYMushafi Ghulam Hamdani
na samjho tum ki maiñ dīvāna vīrāne meñ rahtā huuñ
ḳhayāl-e-rū-e-ḳhūbāñ se parī-ḳhāne meñ rahtā huuñ
tamāshā-gāh-e-ālam kā tamāshā mujh se mat pūchho
ki juuñ ā.īna meñ hairat ke kāshāne meñ rahtā huuñ
ḳhum-e-joshān-e-ishq-e-be-muhābā huuñ maiñ tab hī to
na shīshe meñ Thahartā huuñ na paimāne meñ rahtā huuñ
sharīf-e-ka.aba nit mujh ko salām-e-shauq bheje hai
maiñ kāfir garche hindustāñ ke but-ḳhāne meñ rahtā huuñ
mujhe ai 'mus.hafī' hai kaam har dam zikr-e-ḳhūbāñ se
isī ḳhātir to maiñ mashġhūl afsāne meñ rahtā huuñ
na samjho tum ki main diwana virane mein rahta hun
KHayal-e-ru-e-KHuban se pari-KHane mein rahta hun
tamasha-gah-e-alam ka tamasha mujh se mat puchho
ki jun aaina mein hairat ke kashane mein rahta hun
KHum-e-joshan-e-ishq-e-be-muhaba hun main tab hi to
na shishe mein Thaharta hun na paimane mein rahta hun
sharif-e-kaba nit mujh ko salam-e-shauq bheje hai
main kafir garche hindustan ke but-KHane mein rahta hun
mujhe ai 'mushafi' hai kaam har dam zikr-e-KHuban se
isi KHatir to main mashghul afsane mein rahta hun
- Book : kulliyat-e-mas.hafii(Vol-4)(pdf) (Pg. 201)
- Author : Ghulam hamdani Mashafi
- Publication : Qaumi council baraye -farogh urdu (2005)
- Edition : 2005
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.