na sanam-kadon ki hai justuju na KHuda ke ghar ki talash hai
na sanam-kadon ki hai justuju na KHuda ke ghar ki talash hai
Fazil Ansari
MORE BYFazil Ansari
na sanam-kadoñ kī hai justujū na ḳhudā ke ghar kī talāsh hai
mire dil meñ bhar de jo bijliyāñ mujhe us nazar kī talāsh hai
haiñ bahut se aise bhī rāhzan jo mileñge ḳhizr ke bhes meñ
koī un se kah de ye ham-safar jinheñ rāhbar kī talāsh hai
tujhe chand roza ḳhushī milī to milā mujhe ġham-e-dā.imī
vo tirī nazar kī talāsh thī ye mirī nazar kī talāsh hai
mirī raah ye tirī raah vo mirā saath tujh se nibhegā kyā
ki mujhe hai dard kī justujū tujhe chāragar kī talāsh hai
na sanam-kadon ki hai justuju na KHuda ke ghar ki talash hai
mere dil mein bhar de jo bijliyan mujhe us nazar ki talash hai
hain bahut se aise bhi rahzan jo milenge KHizr ke bhes mein
koi un se kah de ye ham-safar jinhen rahbar ki talash hai
tujhe chand roza KHushi mili to mila mujhe gham-e-daimi
wo teri nazar ki talash thi ye meri nazar ki talash hai
meri rah ye teri rah wo mera sath tujh se nibhega kya
ki mujhe hai dard ki justuju tujhe chaaragar ki talash hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.