na satar satar mein talash kar na ibaraton mein talash kar
na satar satar mein talash kar na ibaraton mein talash kar
Khan Hasnain Aqib
MORE BYKhan Hasnain Aqib
na satar satar meñ talāsh kar na ibāratoñ meñ talāsh kar
jo hamārī tarah faqīr haiñ unheñ hāshiyoñ meñ talāsh kar
jinheñ bhūlnā tirā mashġhala unheñ silsiloñ meñ talāsh kar
kabhī fāsloñ se gurez kar kabhī qurbatoñ meñ talāsh kar
mujhe nā-pasand qiyām-e-dil maiñ qarār-e-jāñ ke ḳhilāf huuñ
mujhe gardishoñ kā junūn hai mujhe rāstoñ meñ talāsh kar
mire shauq se tirī justujū kā mukālima hai ye dam-ba-dam
mirā shukr tere qarīb hai mujhe ne.amatoñ meñ talāsh kar
unheñ ḳhud se thoḌā qarīb kar jo azāb-e-jāñ kā shikār haiñ
jo shikast dil ke marīz haiñ unheñ rābtoñ meñ talāsh kar
na vo raunaqeñ shab-o-roz meñ na vo razm meñ na vo bazm meñ
vo jo be-bahā hai matā-e-dil use ratjagoñ meñ talāsh kar
vo jo 'āqib'-e-tarab-āshnā thā ḳhudī meñ apnī huā hai gum
tujhe justujū hai usī kī to use āshiqoñ meñ talāsh kar
na satar satar mein talash kar na ibaraton mein talash kar
jo hamari tarah faqir hain unhen hashiyon mein talash kar
jinhen bhulna tera mashghala unhen silsilon mein talash kar
kabhi faslon se gurez kar kabhi qurbaton mein talash kar
mujhe na-pasand qiyam-e-dil main qarar-e-jaan ke KHilaf hun
mujhe gardishon ka junun hai mujhe raston mein talash kar
mere shauq se teri justuju ka mukalima hai ye dam-ba-dam
mera shukr tere qarib hai mujhe neamaton mein talash kar
unhen KHud se thoDa qarib kar jo azab-e-jaan ka shikar hain
jo shikast dil ke mariz hain unhen rabton mein talash kar
na wo raunaqen shab-o-roz mein na wo razm mein na wo bazm mein
wo jo be-baha hai mata-e-dil use ratjagon mein talash kar
wo jo 'aqib'-e-tarab-ashna tha KHudi mein apni hua hai gum
tujhe justuju hai usi ki to use aashiqon mein talash kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.