na sawal-e-jam na zikr-e-mai usi bankpan se chale gae
na savāl-e-jām na zikr-e-mai usī bāñkpan se chale ga.e
tirā zarf dekh ke tishna-lab tirī anjuman se chale ga.e
kabhī tū ne sochā bhī sub.h-e-nau ki tamām raat guzār ke
jinheñ Das ga.ī tirī raushnī vo kahāñ vatan se chale ga.e
mujhe dhun ki kākul-e-zindagī jo bikhar ga.ī hai sañvār duuñ
tumheñ ġham ki ishq ke tazkire mire sher-o-fan se chale ga.e
tire gesuoñ se aziiz thiiñ jinheñ kā.enāt kī uljhaneñ
tirā ġham sameT ke ruuh meñ tirī anjuman se chale ga.e
mire dil ko 'qaisar'-e-be-navā koī ġham shikast na de sakā
ki ulajh ke saikḌoñ hādse mire bāñkpan se chale ga.e
na sawal-e-jam na zikr-e-mai usi bankpan se chale gae
tera zarf dekh ke tishna-lab teri anjuman se chale gae
kabhi tu ne socha bhi subh-e-nau ki tamam raat guzar ke
jinhen Das gai teri raushni wo kahan watan se chale gae
mujhe dhun ki kakul-e-zindagi jo bikhar gai hai sanwar dun
tumhein gham ki ishq ke tazkire mere sher-o-fan se chale gae
tere gesuon se aziz thin jinhen kaenat ki uljhanen
tera gham sameT ke ruh mein teri anjuman se chale gae
mere dil ko 'qaisar'-e-be-nawa koi gham shikast na de saka
ki ulajh ke saikDon hadse mere bankpan se chale gae
- Book : Mujalla Dastavez (Pg. 227)
- Author : Aziz Nabeel
- Publication : Edarah Dastavez (2010)
- Edition : 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.