na sayyad mein na mirza mein na ansari mein rakkhi hai
na sayyad mein na mirza mein na ansari mein rakkhi hai
Mazhar Mujahidi
MORE BYMazhar Mujahidi
na sayyad meñ na mirzā meñ na ansārī meñ rakkhī hai
bashar kī shaḳhsiyat us kī samajhdārī meñ rakkhī hai
maiñ ghar aa kar zamāne kī thakan sab bhuul jaatā huuñ
ajab rāhat mirī bachchī kī kilkārī meñ rakkhī hai
kabhī ġhairoñ pe unglī mat uThā ai rahbarān-e-mulk
tabāhī desh kī apnoñ kī ġhaddārī meñ rakkhī hai
ġharībī kā gila karke tū apnī qadr mat khonā
baqā-e-azmat-e-nādār ḳhuddārī meñ rakkhī hai
badan jal jā.egā 'maz.har' inheñ chhūne kī hasrat meñ
ġhazab kī aag in phūloñ kī chingārī meñ rakhī hai
na sayyad mein na mirza mein na ansari mein rakkhi hai
bashar ki shaKHsiyat us ki samajhdari mein rakkhi hai
main ghar aa kar zamane ki thakan sab bhul jata hun
ajab rahat meri bachchi ki kilkari mein rakkhi hai
kabhi ghairon pe ungli mat uTha ai rahbaran-e-mulk
tabahi desh ki apnon ki ghaddari mein rakkhi hai
gharibi ka gila karke tu apni qadr mat khona
baqa-e-azmat-e-nadar KHuddari mein rakkhi hai
badan jal jaega 'mazhar' inhen chhune ki hasrat mein
ghazab ki aag in phulon ki chingari mein rakhi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.