na sham-e-gham na subh-e-moatabar hun
na shām-e-ġham na sub.h-e-mo'atabar huuñ
tamāshā-e-jamāl-e-dīda-var huuñ
koī rut ho vahī be-barg-o-bārī
zamīñ par ek be-mausam shajar huuñ
kahīñ ik lamha-e-guzrāñ kā saaya
kahīñ ā.inda sadiyoñ kā safar huuñ
huuñ harf-e-nā-shunīda be-suḳhan ko
shu.ūr-e-dīda-e-ahl-e-nazar huuñ
kabhī dil kā kabhī duniyā kā mātam
maiñ apnī zaat meñ ik chashm-e-tar huuñ
na ham-sāya koī apnā na darbāñ
makāñ huuñ aur be-dīvār-o-dar huuñ
na sham-e-gham na subh-e-mo'atabar hun
tamasha-e-jamal-e-dida-war hun
koi rut ho wahi be-barg-o-bari
zamin par ek be-mausam shajar hun
kahin ek lamha-e-guzran ka saya
kahin aainda sadiyon ka safar hun
hun harf-e-na-shunida be-suKHan ko
shuur-e-dida-e-ahl-e-nazar hun
kabhi dil ka kabhi duniya ka matam
main apni zat mein ek chashm-e-tar hun
na ham-saya koi apna na darban
makan hun aur be-diwar-o-dar hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.