na shab ka kuchh pata chale na din ki kuchh KHabar lage
na shab ka kuchh pata chale na din ki kuchh KHabar lage
Ali Ejaz Tamimi
MORE BYAli Ejaz Tamimi
na shab kā kuchh pata chale na din kī kuchh ḳhabar lage
maiñ us nagar meñ huuñ jahāñ muhāfizoñ se Dar lage
ḳhudā tire malang haiñ ye mast log tang haiñ
yahāñ pe kuchh sukūn ho to ghar bhī apnā ghar lage
tabhī to ham ko sāzishoñ ne sar ke bal girā diyā
hamī the bevaqūf jo kisī kī aas par lage
maiñ hijr ke dayār meñ bhaTak bhaTak ke thak gayā
yahīñ kahīñ thiiñ manzileñ yahīñ kahīñ the dar lage
mujhe bhī us ke ishq par ho maan umr-bhar 'alī'
maiñ us kā sirf us kā huuñ use bhī umr-bhar lage
na shab ka kuchh pata chale na din ki kuchh KHabar lage
main us nagar mein hun jahan muhafizon se Dar lage
KHuda tere malang hain ye mast log tang hain
yahan pe kuchh sukun ho to ghar bhi apna ghar lage
tabhi to hum ko sazishon ne sar ke bal gira diya
hami the bewaquf jo kisi ki aas par lage
main hijr ke dayar mein bhaTak bhaTak ke thak gaya
yahin kahin thin manzilen yahin kahin the dar lage
mujhe bhi us ke ishq par ho man umr-bhar 'ali'
main us ka sirf us ka hun use bhi umr-bhar lage
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.