na shabistan hai na ab sham-e-shabistan koi
na shabistāñ hai na ab sham-e-shabistāñ koī
ghar kā ye haal hai jaise ho bayābāñ koī
ban ke paikāñ rahe aisā nahīñ armāñ koī
ban ke armāñ rahe aisā nahīñ paikāñ koī
hai shab-e-vasl kahāñ haa.e ye kāfir-andāz
ho rahā hai mirī chheḌoñ se pareshāñ koī
jaan paḌ jaa.e mirī ārzū-e-murda meñ
jhūTā-sachchā lab-e-jāñ-baḳhsh se paimāñ koī
na uThūñ dil meñ liye yād-e-sitam hashr ke din
is adā se sar-e-turbat hai pashemāñ koī
kah ga.e niiñd ga.ī raat kā ārām gayā
us kī taqdīr jo ho aap kā mehmāñ koī
sharar-e-sañg se achchhī hai parī shīshe kī
un butoñ kā na bane banda-e-ehsāñ koī
kisī jañgal meñ base jā ke galī se terī
nazar aatā nahīñ ab chāk-e-garebāñ koī
jhāñkne ko idhar aa.ī na kabhī bād-e-bahār
jab se ham aa.e na aayā sū-e-zindāñ koī
chhū ga.ī gosha-e-dāman se to chhā jā.egī
ḳhaak se merī bachā.e hue dāmāñ koī
ġhair ke sar kī qasam hañs ke dam-e-va.ada-e-vasl
ai maiñ sadqe tire kyā ye bhī hai āsāñ koī
gul kutar jaa.e koī pā-e-hinā.ī se zarā
mere madfan ko banā jaa.e gulistāñ koī
raheñ sone meñ laTeñ zulfoñ kī yūñhī ruḳh par
na haTā.e na chhue zulf-e-pareshāñ koī
baat rah jaa.e mirī us ke gunahgāroñ meñ
na bache nāma-e-a.amāl se isyāñ koī
duḳht-e-raz ko na ziyāñ dī na kabhī tauba kī
ahd nāseh se na paimāne se paimāñ koī
le jabīñ ke koī bose na kahīñ sote meñ
chun na le hoñThoñ se sab aap ke afshāñ koī
ubhre joban ke liye aap ko āḳhir na milā
ḳham-e-gardan ke sivā aur nigahbāñ koī
jo jalātā hai mujhe us se evaz lene ko
de de ik chāñd kā TukḌā shab-e-hijrāñ koī
ghar kā kyā zikr hai ham dil meñ uThā kar rakh leñ
ham ko mil jaa.e jo chhoTā sā bayābāñ koī
aarsī aa.ina ab donoñ nazar se utre
dil-e-hairāñ hai koī dīda-e-hairāñ koī
duur se kyā nigah-e-shauq ne chheḌā hai unheñ
apnī zulfoñ kī tarah kyuuñ hai pareshāñ koī
hashr ke roz rahe lutf-e-shab-e-vasl 'riyāz'
āqibat ke liye ab chāhiye sāmāñ koī
na shabistan hai na ab sham-e-shabistan koi
ghar ka ye haal hai jaise ho bayaban koi
ban ke paikan rahe aisa nahin arman koi
ban ke arman rahe aisa nahin paikan koi
hai shab-e-wasl kahan hae ye kafir-andaz
ho raha hai meri chheDon se pareshan koi
jaan paD jae meri aarzu-e-murda mein
jhuTa-sachcha lab-e-jaan-baKHsh se paiman koi
na uThun dil mein liye yaad-e-sitam hashr ke din
is ada se sar-e-turbat hai pasheman koi
kah gae nind gai raat ka aaram gaya
us ki taqdir jo ho aap ka mehman koi
sharar-e-sang se achchhi hai pari shishe ki
un buton ka na bane banda-e-ehsan koi
kisi jangal mein base ja ke gali se teri
nazar aata nahin ab chaak-e-gareban koi
jhankne ko idhar aai na kabhi baad-e-bahaar
jab se hum aae na aaya su-e-zindan koi
chhu gai gosha-e-daman se to chha jaegi
KHak se meri bachae hue daman koi
ghair ke sar ki qasam hans ke dam-e-wada-e-wasl
ai main sadqe tere kya ye bhi hai aasan koi
gul kutar jae koi pa-e-hinai se zara
mere madfan ko bana jae gulistan koi
rahen sone mein laTen zulfon ki yunhi ruKH par
na haTae na chhue zulf-e-pareshan koi
baat rah jae meri us ke gunahgaron mein
na bache nama-e-amal se isyan koi
duKHt-e-raz ko na ziyan di na kabhi tauba ki
ahd naseh se na paimane se paiman koi
le jabin ke koi bose na kahin sote mein
chun na le honThon se sab aap ke afshan koi
ubhre joban ke liye aap ko aaKHir na mila
KHam-e-gardan ke siwa aur nigahban koi
jo jalata hai mujhe us se ewaz lene ko
de de ek chand ka TukDa shab-e-hijran koi
ghar ka kya zikr hai hum dil mein uTha kar rakh len
hum ko mil jae jo chhoTa sa bayaban koi
aarsi aaina ab donon nazar se utre
dil-e-hairan hai koi dida-e-hairan koi
dur se kya nigah-e-shauq ne chheDa hai unhen
apni zulfon ki tarah kyun hai pareshan koi
hashr ke roz rahe lutf-e-shab-e-wasl 'riyaz'
aaqibat ke liye ab chahiye saman koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.