na shart koi hai apni na koi sauda hai
na shart koī hai apnī na koī saudā hai
hamāre saath agar tum chalo to achchhā hai
lagī hai aag kahīñ yā charāġh jalte haiñ
yahāñ se duur jo dekheñ to kuchh ujālā hai
hamāre haal pe aañsū haiñ us kī āñkhoñ meñ
magar ḳhayāl sā hotā hai ye bhī dhokā hai
gayā to sadma nahīñ thā gumāñ bhī toḌ gayā
hameñ gumān yahī thā ki vo hamārā hai
bichhaḌ ke tujh se nahīñ ham ko ranj-e-tanhā.ī
hamāre saath to ab vahshatoñ kā melā hai
agar mile to kabhī us se pūchhnā 'ādil'
hameñ batāo koī yaad tum ko aatā hai
na shart koi hai apni na koi sauda hai
hamare sath agar tum chalo to achchha hai
lagi hai aag kahin ya charagh jalte hain
yahan se dur jo dekhen to kuchh ujala hai
hamare haal pe aansu hain us ki aankhon mein
magar KHayal sa hota hai ye bhi dhoka hai
gaya to sadma nahin tha guman bhi toD gaya
hamein guman yahi tha ki wo hamara hai
bichhaD ke tujh se nahin hum ko ranj-e-tanhai
hamare sath to ab wahshaton ka mela hai
agar mile to kabhi us se puchhna 'adil'
hamein batao koi yaad tum ko aata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.