na shoKHiyon se kare hain wo chashm-e-gul-gun raqs
na shoḳhiyoñ se kare haiñ vo chashm-e-gul-gūñ raqs
ki un ke piine se kartā hai vaañ mirā ḳhuuñ raqs
na pech-o-tāb-e-havā se hai aab meñ girdāb
ki mere ashk ke aage kare hai jaijūñ raqs
tavāf-e-soḳhta-e-ishq dekh le ai sham.a
kare hai jalne se aage patañg-e-maftūñ raqs
kare hai shola-e-sham-e-sahar sā lab pe mire
ai āftāb-laqā ḳhush ho jān-e-mahzūñ raqs
misāl-e-qibla-numā faḳhr fikr-e-'uzlat' se
kare hai misra-e-raushan ke biich mazmūñ raqs
na shoKHiyon se kare hain wo chashm-e-gul-gun raqs
ki un ke pine se karta hai wan mera KHun raqs
na pech-o-tab-e-hawa se hai aab mein girdab
ki mere ashk ke aage kare hai jaijun raqs
tawaf-e-soKHta-e-ishq dekh le ai shama
kare hai jalne se aage patang-e-maftun raqs
kare hai shola-e-sham-e-sahar sa lab pe mere
ai aaftab-laqa KHush ho jaan-e-mahzun raqs
misal-e-qibla-numa faKHr fikr-e-'uzlat' se
kare hai misra-e-raushan ke bich mazmun raqs
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.