na sirf tujhse mujhe intiqam lena hai
na sirf tujh se mujhe intiqām lenā hai
hisāb-e-vahshat-e-umr-e-tamām lenā hai
mire laboñ pe ye rakh dī ga.ī hai kis kī duā
ye saarī umr mujhe kis kā naam lenā hai
sunā hai us kī nigāheñ adab-navāz haiñ so
kisī bhī tarah mujhe ik salām lenā hai
maiñ ik faqīr-e-mohabbat huuñ mujh ko kyā mālūm
ki kis suḳhan pe mujhe kitnā daam lenā hai
bas ek tū hī nahīñ hai mire nishāne par
zamāne bhar se mujhe intiqām lenā hai
abhī to baaqī haiñ duniyā ke ranj bhī aage
abhī to dil se mujhe aur kaam lenā hai
na sirf tujh se mujhe intiqam lena hai
hisab-e-wahshat-e-umr-e-tamam lena hai
mere labon pe ye rakh di gai hai kis ki dua
ye sari umr mujhe kis ka nam lena hai
suna hai us ki nigahen adab-nawaz hain so
kisi bhi tarah mujhe ek salam lena hai
main ek faqir-e-mohabbat hun mujh ko kya malum
ki kis suKHan pe mujhe kitna dam lena hai
bas ek tu hi nahin hai mere nishane par
zamane bhar se mujhe intiqam lena hai
abhi to baqi hain duniya ke ranj bhi aage
abhi to dil se mujhe aur kaam lena hai
- Book : Aavaazon Ka Raushandaan (Pg. 28)
- Author : Kuldeep Kumar
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.