na socha tha ye dil lagane se pahle
na sochā thā ye dil lagāne se pahle
ki TūTegā dil muskurāne se pahle
umīdoñ kā sūraj na chamkā na Duubā
gahan paḌ gayā jagmagāne se pahle
agar ġham uThānā thā qismat meñ apnī
ḳhushī kyuuñ milī ġham uThāne se pahle
kaho bijliyoñ se na dil ko jalā.eñ
mujhe phūñk deñ ghar jalāne se pahle
na socha tha ye dil lagane se pahle
ki TuTega dil muskurane se pahle
umidon ka suraj na chamka na Duba
gahan paD gaya jagmagane se pahle
agar gham uThana tha qismat mein apni
KHushi kyun mili gham uThane se pahle
kaho bijliyon se na dil ko jalaen
mujhe phunk den ghar jalane se pahle
- Book : Kulliyat-e-Shakiil Badaayuuni (Pg. 805)
- Author : Shakiil Badaayuuni
- Publication : Farid Book Depot (Pvt.) Ltd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.